Kis mohabbat ke baat karti hoo
yeh jo tum samajh baithi hoo
aisa kuch bhi tu nahi
kaya hai payar
bus hum loog jeenay kay bahanay dhoondtay hain
zaat ke tunhaee jab jaan ko aate hai tu
hajoom mein khud ko khoonay ke khawahish lay kay
naam e mohabbat pay sodday kartay hain
koi hum nafas dhoondta hai tu koi humraz
koi humdam tu koi humdard
koi sathi tu koi humsafar
phir wafa kay naam pay rishtoon ka khiraaj mangtay hain
apni takmeel kay wastay
saharay dhoondtay hain
mohabbat ko khudayee kahtay hain
aur issi mohabbat mein khuda ban baith’tay hain
kis mohabbat ke baat kartee hoo
kissi ka dil ko bhaa jana mohabbat hooti hai kya
kabhi kissi ko hathoon mein angaray sajai daikha hai
kabhi kissi ko ik he shakhs ko mahboob banai daikha hai
kabhi kissi ko ik he rung mein runga daikha hai kya
log kehtay hain mohabbat hazar rung mein
mujhay tu har rung mein mohabbat ka rung nazar aata hai
aaisay jaisay roshni say har rung janam laita hai
waisay har jazba mohabbat say toleed hoota hai
aisay lagta hai jaisay har jazbay ka bunyadi juz he yeh hoo
sach pochoo tu mein nahi janta kay mohabat kya hai
haan magar mujh say jurray har rishtay mein
kaheen na kaheen mohabat ka yeh juz zaroor shamil raha hai
aagahi azaab hooti hai aur la ilmee mein sakoon
tabhi tu who alim jo pani pay yaqeen kay sahray
chalnay ke talqeen karta tha
pehlay qadam pay kinaray pay hee doob gaya
aur who jo ik rung mein ranga yaqeen tha
woh darya kay dojay kinaray ja pohancha
agar aisa na hoota
tu yeh jo humaree takhleeq mein hazar parday hain
yeh kabhi na hootay
hum chahay chaand pay kadam rakh lain
chahay hum hazaar kehkashain khooj lain
magar hum mein kitnay hain jo uss markaz ko
khooj sakay jahaan say yeh janam ho rahay hain
yeh wajood yeh jaan yeh rung o roop
yeh barhtee ghat’tee umrain
yeh jazbay
sab
ik justajoo liyeah
ik tushnagee kay zair e asar
ik khooj mein hain
na mukamal say mukamal ke khooj mein
tum kaisay iss khooj ko mohabbat ka naam dai saktee hoo
tumhain aisa nahi lagta jaisay mohababt wahid mukamal jazbay hoo
aur iss na mukamal say mukamal ke khooj mein kaya tum nay
parvanoon ko shama ke loo pay chaltay nahi daikha hai
sahraoon mein divanoon ko bastay nahi daikha hai
darya kinaray payaasa ik shahar ujartay nahi daikha hai
yeh jo humaray tumharay gird lafaz mohabbat kay charchay hain
yeh tu mousamee faslain hain
guzray ga waqat tu pak jain gee
kat jain gee
yeh insaan ke khud faraibee hai
jo uss ke khawahishoon ko mohabbat ka naam daitee hain
aur phir who khudghareezi ka beej boo kay uss say mohabbat ke
fasloon ke umeed rakhta hai
kabhee keekar kay pair pay bhi angoor uga kartay hain
tum hee kuch kaho
tum tu kehtee ho tum ko mujh say mohabbat hai
bay panah mohabbat
Kuch kahoo
Abb chup kio hoo ...!!
_________________
" Bhool jana tou Rasm-e-Dunya hy, tum ny konsa Kamaal kia hy....."
