Page 1 of 1

{{{wada nahi karta }}}

Posted: Thu Feb 05, 2009 12:27 am
by dil2dil
Tumhain Main Bhool Jaoon Ga, Magger Waada Nahi Kerta
Hamiasha Muskuraoon Ga, Magger Waada Nahi Kerta

Tumhari Her Nishaani Ko Main Deriyaa Burd Ker Doon Ga
Tumharay Khat Julayoon Ga, Magger Waada Nahi Kerta

Tumhara Zikar Mehfil Main Huwa To, Khamosh Rehna Hai
Main Khud Ko Aazmaoon Ga, Magger Waada Nahi Kerta

Tujhay Wapis Bulana Hai, Na Dayni Hai Sadaa Koyee
Main Yoon Dil Ko Manaoon Ga, Magger Waada Nahi Kerta

Chalo Yeh Tay Huwa Humdum, Hijer Kay Geet Koyee Bhi
Kabhi Na Gungunaoon Ga, Magger Waada Nahi Kerta

Chalo Tum Say Yeh Waada Hai, Keh Dil Main Dard Hain Jitnay
Kissi Ko Na Sunaoon Ga, Magger Waada Nahi Kerta

Sitaro Neend Kay Maro, Chalo Khawboun Ki Dunia Main
Main Bhi So Hee Ja'oon Ga, Magger Waada Nahi Kerta

Chalo Yeh Tumm Say Waada Hai, Koyee Bhi Qeemti Moti
Na Aankhon Say Giraoon Ga, Magger Waada Nahi Kerta

Re: {{{wada nahi karta }}}

Posted: Mon Feb 09, 2009 9:06 pm
by abdulsaboor
''s''