Page 1 of 1

Zulam seh kar bhi samajhta hoon keh tu maira hai

Posted: Sun Apr 12, 2009 6:55 am
by Hassan khan
Zulam seh kar bhi samajhta hoon keh tu maira hai
Mairay dushman tiaray chehray pay lahoo maira hai

Subh`e`dam shehar ke shoorish tairay dam say ho gi
Raat kay pichlay pehar alam e hoo maira hai

Mairay hathoon mein chupay zakham say pehchaan mujhay
Tairay daman pay bhi ehsaan e rafoo maira hai

Ghir gaya hoon talatum mein bhi zindaan ke tarhaan
Halqa e mouj e rawaan tooq e galoo maira hai

Itnee shoohrat bhi kaha chahee thee khud say mein nay
Apnay hee shehar ka har shakhas adoo maira hai

Dhoop chahoon ke yeah rutt dil mein thehar janay dai
Aks taira hai tu sayaa lab e joo maira hai

Pathroon say hai mohababt mujhay youn bhi mohsin
Sungdil shehar mein aik aaina roo maira hai ....