Page 1 of 1

Woh Paani Kee Lehron Pe

Posted: Sun Apr 12, 2009 7:04 am
by Hassan khan
woh paani kee lehron pe kiya likh raha tha

Khuda jaaney "harf e dua" likh raha tha

likha jis nay nawal wafa ka adhoora,

wohee "pyaar kee inteha" likh raha tha

bhala kartay kartay guzaaree jawanii,


magar phir bhe khud ko bura likh raha tha

mohabbat main nafrat mili thee usay bhe,

jo har shakhs ko "be wafa" likh raha tha

zara us kee aankhon se aansoo na niklay,

woh jis waqt lafz "saza" likh raha tha

Namaz e Mohabbat main woh apnay,

hoay thay jo sajday,"qaza" likh raha tha